Bachon ki 5 Aadatain..


Mujhay Bachon ki 5 aadatain boht pasand hain.

  • Wo ro kar mangtay hain our apni baat manwa letay hain.
  • wo mitti se khailtay hain our gharoor o takabbur khaak main mila detay hain.
  • jo mil jaye kha letay hain zyada jama ya zakhira krnay ki hawas ni rakhtay.
  • lartay hain, jhagartay hain, our phir sulah kar letay hain, yaani dil main hasad our bughz ni rakhtay.
  • mitti k ghar banatay hain, khail kar gira detay hain,  yaani wo batatay hain k ye dunya baaqi rehnay wali ni bal k khatam honay wali hai.

0 comments:

Post a Comment

Comments